Wednesday, August 22, 2012

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai...

Always be positive. English version to follow soon. :)

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
ki duniya kutti na hoti to kya hota.
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
ki ismein dukh dard na hota to kya hota.

gar na deta koi dhoka kabhi humko,
to phir kaise kisi pe bharosa aata?
tanhayee ka alam hi na hota to kya phir,
milan ki haseen rut ko hum mana pate?

kabhi jashna manana bhi aata kya humen,
jab kabhi akele jaam uthaya na hota?
kisi ke marne pe roye na hote hum to,
kisi ke jeene pe kya muskura pate?

ke gar raat na hoti to phir kya hota
kya phir subah ki lali ki sarahna hoti?
yeh ansuon ka sailab na aata to kya,
kisi ke seene se lagne mein maza aata?

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
yeh to kudarat ka niyam hai ki jeete hi rahe,
andheron se joojhen, unhi se ladte rahe,
mauka mile to haske aage badhte rahe.
laden, thaken, giren aur fir se laden,
aur jeet ka swaad chakhne ko mile.

kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
ki duniya kutti na hoti to kya hota.

No comments: