Saturday, August 25, 2012

Humko Yaad Nahin Karna

kabhi humko fir ab na wapis bulana,
kabhi yeh naam apni zuban pe na lana.

na tum yaad karna, woh hasna hasana,
rulaya tha jab tumko woh bhool jana,
jo tohfe diye the, unhen fek dena,
jo angoothi di thi, use tod dena.

tasveer koi meri tum jo dekho,
yeh na sochna ki main khush hun, khafa hun,
woh ankhen meri tum na lag jana padhne,
ki kya sapna dekha hoga unhone.

jo fir koi ayega is zindagi mein,
tumhe woh hasane ki koshish karega,
to has dena tum bhi apni hi us ada se,
dil kitna bhi rone ki mannat karega.

yeh jeewan ka khela hai, apna karam hai,
jo aya hai aaj, use kal badh hai jana.
na tum bandh sakte ho mutthi mein apni
yeh thandi ret sa hai guzra zamaana.

bas ek aarzoo hai, yeh jaate jaate,
sada apne ko hothon ko muskurahat se sajana,
kitni bhi akeli ho raaten, kitna sunsaan din ho,
jo bhi ho, humko tum yaad nahin karna.

No comments: